Meri Rajjo, meri laado
Baarah baras ki ho gayi aaj
Gubbare laaye hain iske chachu
Chhupte chhupate
Karfoo laga hai na ghaati mein
Nikalna manaa hai
Apne ghar se apne hi bageeche mein
Nikalna manaa hai
Teen gubbare laaye hain
Teeno laal
Bada pasand hai rajjo ko
Bachpan se koi aur rang
Dekha hi nahi na bechari ne
Raaton ko jab shor machta hai
Sannate ka
Neend nahi aati laado ko
Kehti hai ammi, kahani sunao
Sona hai
Thapkiyan deti hun usey
Is dozakh ke dard ke saath
Is dozakh ke jhooth ke saath
"Nahi rahe jo baag bageeche
Kal se dekhna fir se khilenge
Tootey jo saawan ke jhooley
Kal se dekhna fir se hilenge
Aag ka gola nahi girega
Tu ghar se bahar niklegi
So ja bachche, laado so ja
Kal se thandi hawa bahegi"
--
Ek awaz si aayi toh hai
Dil mera dehla to hai
Rajjo, uth ja, Rajjo
Bahot so liya
Uth ja na
Rajjo